Navigation Menu!

Wednesday, 3 October 2018

Mobile Ko Fast Charge Kaise Kare? Mobile Charging Tips

Aaj Ke Post Mein Hum Mobile Ko Fast Charge Karne Ke Best Tips Padhnenge.  Friend Aaj Ke Lifestyle Mein Smartphone Hamari Jarurat Ban Gaya Hai Aur Sabse Jaruri Part Battery Hai Mobile Ko Jyada Time Use Ke Liye Battery Ka Aham Role Hai. Agar Aapko Movie Dekhni Hai To Battery Ki Life Honi Chahiye Agar Khrab Backup Hua To Pata Chala Mobile Kam Use Ho Raha Hai Aur Charge Jyada Kiya Jaa Raha Jisse Smartphone Ka Maza Hi Kharab Ho Jata Hai. Ab Baat Aati Hai Battery Ke Backup Ko Kaise Barkarar Rakhe Battery Ko Galat Tarike Se Charge Karne Se Battery Ki Life Aur Battery Kharab Hone Lagta Hai. Battery Ko Charge Karne Ke Tarike
Mobile-fast-charging-tips


Mobile Ko Fast Charge Karne Ke Tips

इसे भी पढ़े

1. Original Charger Ka Use Kare:

Mobile Ko Hamesha Uske Original Charger Se Charge Kare Kyoki Original Charger Se Mobile Battery Ko Puri Power Supply Hoti Hai Jisse Mobile Fast Charge Hota Hai. Dusre Charger Se Battery Ko Power Nahi Pahunchata Hai Jisse Mobile Bahut Slow Charge Hota Hai. Dosto Aapne Notice Kiya Hoga Ghatiya Quality Ke USB Se Mobile Charge Karne Par Bhi Bahut Slow Charge Hota Hai.

2.Turn Off Data Connection, GPS, Wi-Fi And Bluetooth:

Mobile Ko Charging Mein Dene Se Pahle Data , GPS Location, Wi-Fi Aur Bluethooth Ko Off Kar Dijiye. Kyoki Ye Battery Drain Karte Rahte Hai Jisse Mobile Slow Charge Hone Lagta Hai. Background Mein Chal Rahe Apps Ko Bhi Band Kar De Aur Mobile Ka Cover Bhi Khol De Kyoki Mobile Apna Temperature Khojta Hai.

3.Enable Aeroplane Mode:

Dosto Agar Aapko Jyada Emergency Hai Kahin Jana Hai Aur Aapka Mobile Down Hai To Aeroplane Mode Enable Kar Dijiye Isse Aapka Mobile Kafi Had Tak Jaldi Charge Hoga. Kyoki Isme Transmission Signal Band Kar Deta Hai. Jisse Aapka Mobile Fast Charge Hota Hai.

4. Don't Use Mobile When Charging

Agar Aap Bhi Mobile Ko Charge Mein Lagakar Internet Ya Calling Karte Hai To Ise Band Kar Dijiye Ye Aapke Liye Bahut Danger Hai. Mobile Ko Charge Ke Time Ise Karna Mobile, Battery Aur Body Ke Liye Bhi Khatarnak Hai. Kyoki Ek Side Se Charge Aana Aur Ek Side Se Use Hona Mobile Ko Garam Aur Bahut Garam Kar Deta Hai Isme Battery Ka Backup Bahut Hi Ghat Jata Hai. Mobile Charge Ke Time Bahut Dangerous Ray Chhodta Hai Jo Body Ke Liye Khatarnak Sabit Ho Sakta Hai. Isse Mobile Bhi Damage Ho Sakta Hai. Mobile Ko Charging Time Use Nahi Kare.

5.Full Charge Your Mobile:

Mobile Ko Baar Baar Charge Karne Se Battery Ki Life Par Bahut Effect Padta Hai. Isliye Mobile Ko Baar Baar Charge Karne Se Achha Mobile Ko Full Charge Hi Kar Ke Use Kare Normal Time 1:30 Hour Se 2:30 Hour Tak Battery Full Hone Mein Time Lag Sakta Hai. Isse Aapke Battery Ki Life Bhi Barkarar Rahegi. Aur Battery Ko Jyada Down 5% Tak Kam Hi Jane De.
 I Hope Aapko Iss Tarike Se Mobile Fast Charge Hoga Aur Battery Backup Bhi Barkarar Rahegi.
Agar Aapko Koi Dikkat Aati Hai To Comment Mein Jarur Bataye

0 comment:

Post a Comment

GET FREE LAST UPDATE

अगर आप अपने ईमेल इनबॉक्स में नयी पोस्ट के NOTIFICATION प्राप्त करना चाहते हैं तो अभी Hitlogstar.blogspot.com को सब्सक्राइब करें सब्सक्राइब करने बाद आपके ईमेल पर एक लिंक आएगा उस पर क्लिक करके कन्फर्म जरुर करें

Powered by Blogger.

Tags

Blogger (2) Internet (10) Make Money (1) Mobile (10) SEO (3) Social Network (2) Wi-Fi (1) Youtube (2)

About Me

My photo
I am a blogger and Hindi content writer. I write reviews with lyrics of Bollywood songs on my blog. You will get to see something special in every post.

Contact Form

Name

Email *

Message *